CHAPTER#47

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Samar weekend pr Ghar wapis AA jata hai.... Aur Samar aur Sahar kafi Ziada Khush hoty Hain..... Isi tarha waqt guzarta rehta hai.... Par isi douran Anjali phr sy Samar ki zindagi main aa jati hai aur us sy apny kiye k liye Maffi mang leti hai.... Aur Samar usko maff bhi kardeta hai lekin just a friend is sy ziada Kuch Nahi.... Aik din Sahar apni Ammi k Ghar jati hai aur Samar office sy ghar AA Raha thaw.... k achanak sy Anjali ki Samar ko call ati hai aur Samar call receive karta hai....

On call 🤙

Samar: Hello
Anjali: heran horahi Hun main...
Samar: kis BT pr?
Anjali: Today is my lucky day.... Itny Dino sy main tumhein try Kar rahi Hun.... Tum phone Nahi utha rahy.... AJ finally utha hi liya....
Samar: Kiya hal hai tumhara?
Anjali: main thk Hun.... Tum kaisy ho?
Samar: main thk.... I am fine.... Tum sunao....
Anjali: Mujhy tum sy Kuch baatein Karni thin Samar...
Samar: konsi baatein?
Anjali: phone pr Nahi hoskti.... Kaho toh kahin mil lein?
Samar: Yeah! I am free... Chalo mil lety Hain....
Anjali: chalo
Samar: bye....
Call disconnected....

Next Morning
In office

Samar office sy Jaldi Ghar jaa Raha thaw... Itny main Samar k phone pr call 🤙 Ati hai... Samar call receive karta hai....

On call 🤙

Samar: Hello
Anjali: Hey! Kiya Kar Rahy thy?
Samar: Hey! Kuch bhi Nahi.... Tum btao...
Anjali: Kiya ham coffee pr mil skty hain?
Samar: Nahi Yaar.... AJ meri Sahar k sath Ghar pr commitment hai.... Phr Kabhi Sahi....
Anjali: chalo.... Maybe Next time....
Samar: okeeeh! Bye
Anjali: Bye....
Call disconnected

Samar Ghar Ata hai... Aur door bell bajata hai.... Sahar bhag Kar darwaza kholti hai....
Samar haath main rose bouquet 💐 ly Kar Ghar main enter hota Hai....
Samar: Hello my honey!
Sahar: Hey my Dear husband....
Sahar Samar sy uska laptop bag leti hai.... Aur Samar Sahar KO BHT pyar sy Dekhta hai aur Sahar ko bouquet 💐 forward karta hai....
Samar: yeh tumhary liye 💐
Sahar: achaw? Pehly toh tum sirf aik phool hi dety thy.... AJ Pura bouquet 💐
Sahar Samar sy bouquet 💐 lety huye kahti hai.... Samar Sahar KO BHT pyar sy Dekh Raha thaw....
Samar: Hayeeee! Jo feeling us aik phool main thin.... Woh is bouquet 💐 main Kahan?
Sahar: Mujhy toh laga thaw k tum Mujhy sari zindagi bs aik hi phool do gy....
Samar: waisy maa Kahan hai?
Sahar: so rahi Hain.... Tum chayee piyo Gy?
Samar: pee lety Hain....
Sahar: thk hai....
Sahar chayee leny jati hai aur Samar KO room main Dy deti hai... Thodi dair bad 2no ready hokar bahir ghumny chaly jaty Hain.... Bahir jaa Kar khoob enjoy karty Hain aur Raat KO dinner kark ghar wapis AA rahy hoty hain.... Lekin raasty main achanak sy tez baarish shuru hojati hai..... Raat k takreeban 11 bajy Ka waqt thaw.... Ahista ahista yeh baarish toofan main tabdeel hogayi thi.... Road block hochuky thy.....

In car

Samar: Itni Raat hogayi hai.... Itna tez toofan hai.... Aur road bhi sary block hochuky Hain....
Sahar: Lekin Samar ab ham Ghar kaisy jayeingy....
Samar: itni Raat KO is baarish main hamara istarha baahir road pr rehna safe Nahi hai.... Aur ird gird BHT wairani hai.... Tum mery sath ho... Mujhy apni Nahi tumhari fikar hai.... I think hamein car yahin kahin stop Karni chahiye aur kahin aas Pas Kisi safe jagah pr AJ Raat stay karlena chahiye....
Sahar: thk hai....
Samar car KO aik side pr stop Kar deta hai aur window glass upr Kar deta hai... Samar aur Sahar car sy bahir AA jaty Hain.... Samar car KO lock Kar deta hai.... Bahir BHT tez toofan thaw... Samar bhag Kar Sahar k Pas Ata hai.... uska haath pakad Kar as Pas koi safe jagah dhundny lag Jata hai lekin koi jagah safe Nahi thi.... Har Jagah wairani hi wairani thi.... Aandhera thaw.... Tez baarish horahi thi.... Samar NY jeans aur shirt aur jacket pehni hui thi.... Sahar shalwar kameez main thi.... Unk sary kapdy bheeg Chuky thy.... Thandi thandi tez aur khoofnak hawayein Chal rahi thin.... Badal BHT zor zor sy garaj Rahy thy.... Aasmani bijlee chamak rahi thi.... Samar KO apni Nahi sirf aur Sirf Sahar ki fikar thi...... Samar Sahar ki tarf dekhta hai toh Woh Puri ki Puri bheeg chuki thi.... Aur usko BHT Ziada thand lag rahi thi.... Samar usko Dekh Kar aur bhi tension main hogaya thaw.... Samar Sahar KO apny bazu'oon main utha leta hai... Aur thoda agay Ata hai toh wahan pr aik chota SA cottage hota Hai.... Samar Sahar KO Lekar us cottage main tezi k sath dakhil hojata hai..... Aur Sahar KO neechy utarta hai.... Sahar k sary kapdy baarish ki wajah sy bheeg Chuky thy aur uska Pura jism thand ki wajah sy kanmp Raha thaw.... Sahar cottage Ka darwaza band Kar leta hai.... Aur Sahar KO wahin pr Padi hui charpayi pr betha Deta hai....
Samar: Sahar..... Tum thk ho?
Sahar: h..hh..Han Han... M..ma..main thk Hun...
Samar usk chehry KO apny 2no haathon main BHT pyaar sy pakad leta hai.... Sahar Puri ki Puri bheeg chuki thi..... Sahar khud KO apny hi bazu'oon main chupa rahi thi aur thand ki wajah sy kanmp rahi thi....
Samar apni jacket Ki zip khol kar utar leta hai toh dekhta hai uski shirt bilkul Khushk hai.... Toh Woh Sahar ki tarf dekhta hai.... Samar apni shirt utar leta hai aur Sahar KO forward Kar deta hai....
Samar: Sahar.... Yeh lo.... Meri shirt pehn lo.... Tumhary sary kapdy bheeg Chuky hain.... Tum jaldi sy meri shirt pehn lo... Warna tumhein mazeed thand lag jayegi tumhari Tabiat bhi kharab hoskti hai.....
Sahar kanmpty huye haathon sy Samar sy Uski shirt leti hai.... Samar apni tank top main thaw.... Samar Sahar ki tarf back karleta hai aur wahi pr Padi hui lakdiyon KO jala Deta hai.... Thodi dair main agg Sahi sy jal jati hai... Itny main Sahar NY bhi change krliya thaw.... Sahar Samar k Pas ati hai.... Samar khada hojata hai aur Sahar ki tarf dekhta hai toh Sahar NY Samar ki shirt pehni hui thi.... Usk baalon sy Pani tapak Raha thaw.... Uski body thand ki wajah sy kanmp rahi thi.... Samar Sahar main hi kho chuka thaw.... Itny main Badal BHT zor sy garajta hai jiski wajah sy Sahar Samar KO dar ki wajah sy zor sy hug Kar leti hai....
Sahar: Samaaaaar.... (shout loudly in scare)
Samar: Kuch Nahi hai.... Bahir BHT tez toofan hai....
Sahar: m..mu..Mujhy bh..BHT dar lag Raha hai Samar.... (Scared)
Samar: main hoon Na tumhary sath.... Darny ki koi bat Nahi hai..... Main Hun tumhary sath....(lovingly 🥰😍)
Samar Sahar KO uski waist sy hug Kar leta hai..... Sahar Samar ki neck main apna face chupa leti hai.... Aik haath Samar k baalon main dalti hai aur dusra Usk shoulder pr zor sy Rakh leti hai..... Sahar thand sy kanmp rahi thi..... Uski body barf ki tarha thandi thi.... Samar Sahar KO agg k kareeb laa Kar apni goud main betha Deta hai.... Aur agg k kareeb Usk haath karta hai.... Lekin koi farq Nahi ata hai.... Ab Sahar ki tabiat mazeed kharab horahi thi.... Usk dant thand ki wajah sy baj rahy thy.... Usk hont thand sy kanmp rahy thy aur yeh SB Dekh Kar Samar BHT tension main aa Gaya thaw..... Usko Kuch samajh Nahi aa Raha thaw.... Sahar Samar KO BHT zor sy hug karleti hai..... Aur Samar main chupny ki koshish karti hai.... Samar yeh Dekh Kar Sahar sy Puch Kar ijazat mangta hai....
Samar: Sahar..... May I?
Sahar tezi k sath apna sar positively hilati hai....
Samar Sahar KO phr sy apny bazu'oon main utha Kar charpayi pr laita Deta hai aur Uspr blanket daal Deta hai.... Sahar usko apni adhi band Aankhon sy Dekh rahi thi.... Samar usk paun ki Taraf khada hua thaw.... Samar Sahar k 2no paun tez rub karny lag Jata hai.... Aur Usk haathon KO rub karta hai.... Lekin Sahar thand sy kanmp rahi thi.... Samar phr sy Sahar k paun tez tez rub karny Lagta hai.... Lekin koi Faida Nahi hota.... Sahar apny bazu'oon ko phela Kar usko apny Pas bulati hai.... Samar bhag Kar Sahar k Pas jata hai aur puchta hai....
Samar: Kiya BT Hai Sahar.... Tum thk ho na... Mujhy BHT tension horahi Hai....
Samar Sahar k face KO apny haathon main pakad Kar tension main Kahta Hai.... Sahar Samar K tank top KO apny kanmpty huye haathon sy pakad ti aur Samar KO apny kareeb KR leti hai.... Samar Samjh jata hai....
Samar: Sahar.....
Sahar apna sar positively hilati hai to Samar blanket hata Kar Sahar k sath lait jata hai.... Sahar Samar ki tank top KO zor sy pakad Kar Samar KO hug Kar leti hai aur khud KO usmain chupa leti hai....

Time Skip

Next Morning
Subah hokar Samar aur Sahar aik dusry KO BHT pyaar sy Dekh Kar smile karty hain... Aur thodi dair bad Woh Woh Raizaada Banglow k liye nikal jaty Hain....

TO BE CONTINUED

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro