CHAPTER#43

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

At Raizaada Banglow
In Samar/Sahar room

Sahar bed pr bedsheet thk karti hai blanket fold kark Rakh rahi thi itny main Samar bathroom sy shower 🚿 ly Kar AA Raha thaw aur apny baalon KO towel sy Khushk karta hai aur gunguna Raha thaw.... Samar geela towel Sahar k Mooh pr lapeet leta hai aur bed pr lait jata hai... Aur phr sy bedsheet kharab hojati hai....
Sahar: Uuufffffoooo Samar....
Sahar towel KO BHT mushkil sy apny Mooh aur sar pr sy khol Kar hatati hai.... Samar bed pr laita hua thaw aur gunguna Raha thaw....
Sahar: tumhein Har cheez KO phelany ki Kiya Zaroorat hai.... BHT buri aadatein Hain tumhari.... Aur towel KO bedroom main lany ki Kiya tuk Banti hai....
Samar apna haath zameen pr latka Deta hai aur Kahta Hai.....
Samar: Hayeeee! Main bhi AJ KAL yehi sochta Hun.....
Sahar Samar k Sary kapdy utha Kar fold karny lag jati hai Jo usny sary kamry main phelaye hoty Hain....
Sahar: main bhi ab tumhari cheezein Nahi uthaungi....
Samar: Ahmmmmmm...... Ab please safai Karna shuru mat Kar dena.... Kal safai wali aye gi... Woh kardy safai.... Tum idhr mery Pas ao....
Samar Sahar KO ishara karta hai apny Pas any k liye hai.....
Sahar: Kiya sochygi Woh... Dekho.... Ghar hai hamara..... jungle toh Nahi hai na.... Aur Kam wali ayegi toh Kiya sochygiii?
Sahar Samar k kareeb khadi hokar yeh bat kah Kar wapis Kam karny lag jati hai..... Samar foran sy uth Kar Sahar k bazu pakad leta hai aur zor sy khench Kar usko apny sath bed pr betha Deta hai..... ab Samar aur Sahar bed pr aik sath Bethy huye thy....
Samar: idhr aao.... Kuch Nahi sochygi... Sochygi k Kitna khubsoorat shohar hai tumhara.... Aur Hamari Jodi.... Wah wah wah!
Sahar yeh sun Kar Samar ki tarf Dekhti hai.... Samar night suit main thaw.... Usk baal Usk forehead pr aye huye thy.... Samar Sahar ki tarf masoomana Dekh Raha thaw....
Sahar uth Kar phr sy Kam start Kar deti hai....
Samar: achaw ab tum bathroom ki safai na shuru Kar dena.... Sahaaaar (shout in innocence)
Sahar bathroom main jaa Kar Samar ki sari bikheri hui cheezein thk karny lagti Hain....
Samar apny Mooh pr 2no haath Rakh Kar kah ta hai....
Samar: Mrs. Sahar Raizaada please come back here.....

In bathroom

Sahar Samar ki bikheri hui cheezein sameet rahi thi aur khud sy kah rahi thi....
Sahar to herself: Mera khayal hai.... Agar Kabhi hamara Break-Up hua na toh uski aik wajah Samar ki yeh Be-tarteebi hogi.... Meri toh adhi zindagi in bottles k dhakkan dhundty aur band karty huye guzry gi.... Such a baby...

In room

Samar Sahar Ka intezar karty karty so jata hai..... Sahar Kam khatam kark room main ati hai toh dekhti hai k Samar so chuka thaw.... Sahar bed pr AA Kar Samar KO dekhty huye khud sy kahny lagti hai....
Sahar to herself: is shakhs ki AJEEB si Adat hony Lagi hai Mujhy.... Agar yeh... Meri zindagi sy Chala gaya... Toh BHT bada masla hojaye ga mery liye....
Sahar lights off krk so jati hai....

Next Day

Samar aur Sahar Zakiya sy milny jaty Hain.... Zakiya unko Dekh Kar BHT Khush hojati hai.... Thodi dair gap shap lagany k bad chayee waghera Ka intezam hota Hai.... Chayee pee Kar Samar jany Lagta hai.... Sahar Zakiya k sath hi stay karti hai....
Samar: thk hai Aunty ab main chalta Hun....
Zakiya: Areeeh! Kyun beta tum bhi reh Jao na...
Samar Sahar ki tarf dekhta hai lekin Woh Kuch Nahi kahti hai....
Samar: lekin aunty (Zakiya interrupted)
Zakiya: lekin wekin Kuch Nahi.... Bs ab teh Raha k tum bhi ruk rahy ho....
Samar: Achaw Ahahahaw.... Chalein thk hai... Thank you...
Samar Sahar ki tarf dekhta hai par Woh shocked hokar Dekh rahi thi....

It's Night Time
Samar/Sahar Room

Sahar bed thk karti hai Samar AA Kar usko BHT pyar sy Dekh Raha thaw.... Samar bed pr AA Kar lait jata hai aur upr roof fan ki tarf dekhta hai Jo BHT ahista ahista chal Raha thaw....
Samar: suno...
Sahar: Hmmm..
Samar: pankha thoda tez Nahi hoskta? (Finger 🫵 towards fan)
Sahar: yeh pehly sy hi high speed pr chal Raha hai...
Samar: really?
Samar roof fan ki tarf dekhta hai phr apni eyebrows upr karleta hai.... Phr uth Kar Beth jata hai.... Sahar Samar k sath bed pr AA Kar Beth jati hai....
Sahar: Kiya Soch rahy ho?
Samar: Hmmmm... Kuch Nahi... Achaw tum betho main kapdy Change kark Ata hoon....
Samar jaisy hi bed sy uth'ta hai light chali jati hai....
Samar: Ohhhh!
Samar bed pr Beth jata hai....
Sahar: Oh ho! Yeh light Ka bada masla hai.... Achaw ruko main emergency light ly Kar ati Hun...
Samar: aik second aik second.... Yeh lo apna phone ly jao....
Samar Sahar KO mobile ki flash light on kark Dy Deta hai..... Sahar emergency light ly Kar AA jati hai.... Samar bed pr laita hua thaw.... Aur machar KO bar bar mar Raha thaw.... Sahar Aa Kar bed pr Beth jati hai.... Samar Sahar KO BHT pyar sy Dekh Raha thaw kafi dair tk.... Phr uska haath pakad Kar uth'ta hai aur Kahta Hai....
Samar: chalo bahir Sehen main jaa Kar beth'ty Hain....
Sahar: kyun?
Samar: Kiya MATLAB kyun? Waisy hi... JB light ayegi toh ham wapis AA jayein Gy....
Sahar: yahan light Ka pata Nahi hai na.... Pata Nahi ati bhi hai ya Nahi....
Samar yeh sun Kar apni eyebrows upr krk Sahar KO Kahta Hai....
Samar: really? Aisa hota Hai yahan?
Sahar: Han....
Samar soch ny lag Jata hai..... phr achanak sy machar usko kat'ty Hain toh Woh machar KO marny lag Jata hai...
Samar: chalo phr bhi chalty Hain.... Come on....
Samar Sahar Ka haath phr sy pakad KR usko bahir ly jany Lagta hai....
Sahar: bahir toh aur bhi machar hongy....
Samar: toh Kiya hogaya? (Politely) hawa bhi toh Chal rahi hogi....
Samar Sahar k shoulder pr apna shoulder touch KR k Kahta Hai...
Samar: Chand taary bhi hongy.... Main aur tum bhi hongy.... Chalo na BHT romantic sa view hoga...
Sahar to herself: chalo ab is KO romance sujh Raha hai...
Sahar: Samar tumhein agar bahir Jana Hai toh tum jao..... Mujhy BHT neend aa Rahi Hai... Aur waisy bhi main in machron KO apna taza khoon Nahi pilaungi....
Sahar chaddar apny upr daal KR lait jati hai... Samar khada hojata hai aur Sahar k haath pakad Kar usko uthany ki koshish karta hai bahir jany k liye....
Sahar: tumhein Jana Hai toh tum jao..... Mujhy neend aa Rahi Hai....
Sahar apny Mooh pr chaddar daal deti hai.... Yeh Dekh Kar Samar Sahar k upr sy chaddar hata Deta hai.... Lekin Sahar phr sy khud pr chaddar Dal Kar khudko cover Kar deti hai.... Samar yeh Dekh Kar smile karta hai.... Aur Kahta Hai....
Samar: okeeeh! Fine.... Tum yahan so jao... Main bahir Beth Kar cigarette 🚬💨 Peeta Hun...
Yeh kah Kar Samar bahir jany Lagta hai.... Sahar foran sy uth jati hai aur puchti hai....
Sahar: tumhein yahan cigarette 🚬💨 Kahan sy Mili?
Samar: car main Padi hui thi.... Purani Padi hui thi yaar....
Sahar: tum cigarette 🚬💨 Nahi piyogy....
Samar: kyun Nahi pee sakta? Main aik cigarette 🚬💨 Nahi Puri dabbi phunkunga... JB tk light Nahi aa rahi main bahir Beth Kar cigarette 🚬💨 pee Raha Hun tum yahan lait Kar sou....
Yeh kah Kar Samar room sy bahir Chala jata hai.... Aur Sahar chaddar bed pr phenk Kar Samar k peechy jany lagti hai.... Samar bahir Sehen main laita hua thaw aur Sahar Usk sath AA Kar Beth gayi thi.... Samar gunguna Raha thaw aur bar bar machar mar Raha thaw....
Sahar: Dekha... Yahan Bethny Ka Kiya Faida? Ullu'oon ki tarha....
Samar yeh sun Kar Sahar ki tarf turn hota Hai aur apny sar k neechy haath rakhta hai aur apny legs KO fold kardeta hai aur aik haath apni fold knees pr Rakh Deta hai....
Samar: main Har bat main tumhari tarha Faida Nahi talash karta.... Hmmmm....
Sahar: tum agar is tarha ki baatein karogy na toh main andr chali jaungi....
Samar Sahar Ka bazu pakad leta hai aur Kahta Hai....
Samar: jaa Kar dekhao... Sahar uth'ny lagti hai aur kahti hai...
Sahar: jaa Kar dekhaun?
Samar Sahar Ka bazu aur Zor sy pakad leta hai.... jiski wajah sy Sahar jagah sy hil Nahi paati hai... Aur Samar hansny Lagta hai.... Sahar apna bazu chuda Kar Samar ki tarf sy apna chehra hata leti hai....
Samar: achaw.... Achaw... Maan liya k tum jaa skti ho andr....
Samar seedha hokar lait jata hai aur apny sar k neechy apny 2no haathon KO Rakh leta hai....
Samar: koi umeed Nahi hai Mujhy tum sy.... Chod Kar chali Jana Mujhy Akela Kisi din...
Sahar: achaw.... Aur tum intehai wafadar ho na mery....
Sahar Samar ki tarf Dekh Kar kahti hai....
Sahar: Tum toh Mujhy Kabhi kahin bhi chod Kar Nahi jaogy....hai na?
Samar yeh sun Kar Beth jata hai aur Sahar k kareeb hokar Beth jata hai aur Kahta....
Samar: Han.... Nahi chod Kar jaa skta main tumhein Akela....
Samar Sahar ki aankhon main Dekh Raha thaw.... Sahar eye lock todty Huye Asmaan ki tarf Dekhti hai aur kahti hai.....
Sahar: achaw toh Phr sitaary Gino....
Sahar Asmaan ki tarf Dekh rahi thi aur Samar Sahar KO BHT pyar sy Dekh Raha thaw.... Aur kahta hai....
Samar: Taary toh main tb ginun GA..... JB tum Mujhy Chod Kar chali jaogi.... Tumhari Yaad main....
Samar Sahar k shoulder pr apna sar Rakh leta hai aur us KO BHT pyar sy Dekhta hai... Sahar dimple smile karti hai aur kahti hai....
Sahar: meri Yaad main... Achaw.....
Samar: kyun?
Sahar: Nahi.... Main toh bs is liye Hans rahi Hun.... k JB tum Mujhy Yaad karny bethogy toh tumhein mery ilawa kis kis ki Yaad ayegi.... Mery ilawa toh aur bhi yaadein hongi... Nahi... Aik Yaad dusri Yaad sy takraye gi.... Negative positive sy takraye gi aur phr SB Kuch zero hojayega....
Samar Sahar KO shocked hokar dekhta hai.... Sahar apna sar positively hilati hai aur kahti hai...
Sahar: Han.... Pata hai...
Samar: majal hai k agar Mujhy aik lafz ki bhi samajh ati ho....
Samar apna chehra Sahar ki tarf sy opposite side Karleta hai....
Sahar: aur tumhein samajh bhi Nahi ayegi.... Kyunki tum samajhna hi Nahi chahty....
Sahar Samar ki tarf sy apna face opposite side pr Kar leti hai.... Ab Samar Sahar ki tarf dekhta hai aur Kahta Hai....
Samar: yeh agar tum Mujhy meri girlfriends k ta'any Dy rahi ho na.... Toh please khul Kar do.... Istarha Har BT lapeet lapeet KR na Kiya Karo....
Sahar: ta'any Nahi Dy rahi Hun sirf kah rahi Hun tumhein....
Samar Sahar KO BHT pyar sy Dekh Raha thaw aur smile Kar Raha thaw....
Sahar: tumhari BHT sari girlfriends rahi Hain.... SB pata hai Mujhy......
Samar Sahar KO bs khamoshi k sath BHT pyaar sy aur smile k sath Dekh Dekh Kar Khush horaha thaw.... Sahar Samar ki tarf Dekhti hai phr apna face opposite side pr Kar leti hai....
Samar: kah rahi ho ya JAL rahi ho?
Sahar: kah rahi Hun.... Jalny ki koi Zaroorat Nahi hai....
Samar: Han waqaie.... Woh toh tumhein jalny ki koi Zaroorat Nahi hai....
Samar Sahar Ka haath pakad leta hai aur Kahta Hai....
Samar: kyunki is waqt tum mery pehlu main MERI biwi ban Kar bethi ho....
Samar Sahar KO pyaar sy smile karty huye dekhta hai..... Sahar Chand ki tarf Dekh Kar kahti hai.....
Sahar: Chand Dekha hai tum ny?
Lekin Samar Sahar ki tarf hi Dekh Raha thaw.... Aur BHT pyaar sy smile karta hai...
Samar: Dekh Raha Hun....
Sahar: Woh Asmaan pr hota Hai.... Sirf dur sy Dekha jaa skta hai....
Samar: Han..... Suna thaw main NY k pehly Chand Asmaan pr hota thaw.... Lekin kafi Dino sy zameen pr shift hogaya hai....
Samar Sahar ki tarf Dekhty huye Kahta Hai....
Sahar dimple smile karti hai aur bht Ziada sharmati hai....
Samar: balky bilkul mery samny betha hai....
Sahar Samar ki tarf smile karty huye dekhti hai aur Samar Sahar ki aankhon main BHT pyaar sy smile karty huye Dekh Raha thaw....
Sahar: tum flirty lines Bolny k maahir ho Kiya?
Samar: JB shohar apni Biwi sy romantic baatein karta hai toh usy flirty lines Nahi kahty hain.... Pyaar bhary jumly kahty hain.... KB jaa Kar Impress hogi tum mujhsy?
Sahar: Sochna padyga....
Samar apny Mooh pr 2no haath Rakh Kar apna chehra apny haathon main chupa Kar Kahta hai....
Samar: phr toh sari Raat lag jayegi Yaar.... Aahahahahawww!
Samar apny Mooh pr sy haath hata Kar Sahar k aur kareeb jaa Kar puchta hai....
Samar: tumhein mery bary main koi bhi BT achi Nahi lagti? Hmmmm? Koi aik cheez.... Koi aik BT....
Samar peechy taik laga Kar Beth jata hai aur Sahar Ka haath apny haath main pakad leta hai aur Sahar KO BHT pyar sy Dekh ta hai....
Samar: Zara si bhi.... Nahi?
Sahar: Woh sitara Dekho.....
Samar: kyun? Meri tarha Roshan hai Kiya? 
Samar smile karta hai aur Sahar khamosh hojati hai..... Samar usko tang karny lag Jata hai....
Sahar: Uuufffffoooo Toubaaaa Samaaaaar...
Samar: Aahahahahahahahaawwwww!
Samar Sahar KO is tarha sharmaty huye BHT uncha uncha hansta hai aur Khush hota Hai....
Sahar: main NY AJ tk.... Tum sy ziada shaeed koi khud pasand aur khud parast insaan Nahi Dekha....
Sahar Samar ko dekhty huye kahti hai.... Samar muskuraty huye apni eyebrows upr krk Sahar ko Dekh Raha hota Hai....
Sahar: Kabhi BHI Nahi....
Samar Beth jata hai aur Kahta Hai...
Samar: Woooowww!
Samar Sahar KO BHT pyar sy Dekhta hai.... Aur Sahar Ka haath pakadty huye Kahta Hai....
Samar: achaw ab agar tum ijazat do toh main tumhara haath pakad Lun....
Sahar apna haath chudwa Kar kahti hai...
Sahar: zaroori hai Kiya haath pakadna....
Sahar hansty huye kahti Hain aur Samar phr sy Sahar Ka haath pakad leta hai...aur Kahta Hai....
Samar: Han.... Bilkul zaroori hai....
Sahar apny Mooh pr haath Rakh leti hai aur Samar usko isi tarha tang Kar ta rehta hai aur Woh sharmati rehti hai....

TO BE CONTINUED

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro