CHAPTER#39

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Next Day
After Office
It's Night Time

Samar room main enter hota Hai toh Sahar bed pr Bethi Hoti hai... Samar room main aa Kar apna laptop table par rakhta hai aur coat utar Kar wardrobe main Rakh ty huye Sahar KO BHT pyar sy kah ta hai....
Samar: Hello (Lovingly 😍🥰)
Sahar Samar ki tarf Dekh Kar kahti hai....
Sahar: Hey....
Sahar yeh kah Kar apna sar jhuka leti hai.... Samar usi KO hi Dekh Raha thaw....
Samar bed pr AA Kar Sahar k sath Beth jata hai....
Sahar: main Khana laga deti Hun tumhary liye...
Sahar yeh Kah Kar uth Kar jany lagti hai.... Lekin Samar usko haath sy pakad Kar bed pr betha Deta hai....
Samar: khana main office main khaa Kar AA Gaya Hun Sahar.... Tum mery sath yahin betho.... Tumhary liye Kuch laya Hun....
Sahar confused hokar Samar KO dekhti hai toh Samar apni pocket sy aik chota sa box nikalta hai aur khol Kar usmain sy diamond ring 💍 nikal Kar Sahar k haath KO dusry haath main pakad Kar pehna Deta hai...
Samar: looking so gorgeous 🥰😍 (Lovingly 😍)
Sahar: thank you (with a dimple smile 😊)
Samar: my pleasure 💞💕
Sahar Samar KO Dekh Kar smile Kar rahi thi.... Phr idhr udhar dekhny lag jati hai... Aur khud sy kahti hai...
Sahar to herself: ab yeh Kuch kah bhi Dy...
Samar bed 🛏️ pr wahin lait jata hai aur Sahar KO dekhta hai.... But Sahar BHT Ziada confused thi....
Samar: tum ny Khana khaa liya?
Sahar: Jee maa k sath khaa liya thaw....
Sahar to herself: Kiya ulty sawal Kar Raha hai yeh...
Samar to himself: tareef Karunga toh yeh jhoota samjhygi Nahi karunga toh...
Akhir kaar Samar Kahta Hai....
Samar: I'm sorry! BHT fazool batein kar Raha Hun main.... Pata hai JB main Socha Kar ta thaw k JB tum sy milunga toh tumhein yeh kahunga Woh kahunga.... Aur ab tum mery samny bethi ho toh mujhy samajh Nahi aa Raha k main tum sy Kiya kahun Sahar.... Lekin Kuch kahna hi hai toh... Main tumhari tareef Kar deta Hun....
Sahar Samar ki tarf Dekhti hai... Aur apni eyebrows upr kardeti hai....
Samar apni chin k neechy haath Rakh Kar Sahar ki tarf dekhty huye Kahta Hai....
Samar: you looking so beautiful.... 💞💕
Sahar apna sar positively hilati hai...
Samar: aur yeh main bilkul isliye Nahi kah Raha k tum mery samny bethi hui ho.... Tum waqaie main BHT khubsoorat lag rahi ho.... Mujhy tumhari yeh sadgi BHT pasand hai Sahar...
Sahar smile kark apna sar positively hilati hai....
Samar to himself: asoolan isy Sharmana chahiye... Shaeed isy yaqeen Nahi Aya...
Sahar Samar ki tarf Dekhti hai aur Mooh bna Kar apna chehra dusri tarf kark khud sy kahti hai...
Sahar to herself: ab yeh aik hi jumla bol Kar Beth Gaya hai.... Waisy toh ladkiyon k sath bada flirt karta thaw badi badi batein karta thaw.... Sary mard aik hi jaisy hoty Hain.... Girlfriend ki jitni chahy tareefein Karwa lo... Biwi ki tareef karty Hain toh Jaan jati hai....
Samar apny sar k neechy haath Rakh Kar khud sy Kahta Hai....
Samar: Ziada tareef ki toh sar pr charh jayegi... Lekin tareef na Karun toh Kiya karun? Is sy koi Wada Karun?
Sahar to herself: isko yaqeenan apni koi girlfriend Yaad aa rahi hogi is waqt....
Itny main Samar Sahar Ka haath apny dono haathon main pakad leta hai laity huye.... Sahar Usk sath hi bethi hui thi....
Sahar Samar ki tarf Dekhti hai toh Samar Kahta Hai....
Samar: tum ny Mujh pr trust Kiya hai... Thank you for that... Aur main Wadaa karta Hun k tumhein apny faisly pr pachtana Nahi padyga....
Samar smile karty huye Sahar KO Dekh Raha thaw.... Sahar apna sar positively hilati hai....
Samar to himself: ab yeh goongon ki tarha apna sar kyun hila rahi Hai.... Isko Kuch toh kahna chahiye....
Samar apny haath KO Sahar k haath pr aur bhi tight Kar leta hai aur apna sar jhuka leta hai Sahar Samar ki tarf Dekhti hai....
Samar: tum Kuch kahti kyun Nahi ho....
Sahar: tum Kaho.... Main sun rahi Hun....
Samar: Han lekin... Main bhi toh Kuch Sunna Chahta Hun....
Sahar to herself: suna toh main tumhein khasa chuki Hun.... 😆
Samar Sahar ki tarf BHT pyaar sy Dekh Kar smile Kar Raha thaw.... Phr Kahta Hai....
Samar: pata hai.... ham zindagi main BHT BHT sari ghalatiyan karty Hain.... Aur UN ghalatiyon ki wajah sy dusry logon KO takleef pohanchti hai.... Main NY bhi BHT sari ghalatiyan ki hai jiski wajah sy tumhein BHT BHT Ziada takleef pohanchi thi....  And I am very sorry Sahar.... Mujhy pata hai k yeh BT main NY tumsy pehly BHI ki hai aur main phr sy kar Raha Hun lekin.... The reason is I am truly sorry....
Sahar apna sar positively hilati hai aur khud sy kah ti hai....
Sahar to herself: yeh pehli achi BT Hai Jo tum ny Kahi hai....
Samar: tumhein pata hai.... Mujhy tumhari BHT si qualities pasand Hain... Jiski wajah sy main ny tumhein qubool Kiya.... tum sy BHT Muhabbat karta Hun.... Mana k BHT mushkil Faisla thaw.... Lekin Mujhy Lagta hai k Mera yeh Faisla bilkul thk hai....
Sahar to herself: isko aisi batein karty toh main NY Kabhi Nahi tasawwar Kiya.... Itna bhi idiot Nahi hai.... Jitna main samajhti Hun isy...
Sahar smile karti hai.... Samar khud KO Sahi sy Sahar k sath adjust Kar k Beth jata hai....
Samar: Kitna AJEEB Lagta hai na ladkiyon sy BT Karna....
Yeh sun Kar Sahar Samar ki tarf Ghussy main dekhti hai.... Toh Samar Kahta Hai....
Samar: Mushkil.... Aur khas tour pr us ladki sy Jo apko BHT Ziada pasand ho...
Yeh kahty huye Samar Sahar Ka haath pakad leta hai.... Aur Sahar usko BHT pyaar sy dekhny lagti hai.....
Sahar to herself: zindagi main pehli bar isko aisy Khush hokar bat karty huye Dekh rahi Hun.... Huhhhh 🥰 yaqeen Nahi aa Raha.... Lekin chalo... Agar yeh sochny samajhny lag Gaya hai.... Toh buri quality toh Nahi hai....
Samar: waisy khamoshi ki bhi aik zuban Hoti hai.... Hmmmmm? Oh one second...
Samar side table sy rose 🌹 utha Kar Sahar KO Dy Deta hai....
Samar: I know bada AJEEB hai lekin Dil Kar Raha thaw....
Sahar: Shukriya! 🥰😍
Samar Sahar KO BHT pyaar sy Dekh Raha thaw....
Samar: you're welcome..... 🥰😍
Sahar Samar ki tarf Dekhti hai.... Samar Sahar k baalon main sy catcher nikal KR Usk baalon KO agay Kar deta hai.... Aur Kahta Hai....
Samar: chalo.... Ab koi toh BT Karo.... (Lovingly 🥰😍) main tumhein force Nahi Kar Raha Hun lekin main Chahta Hun k Hamary DARIYAN koi purani baatein na reh jayein....
Sahar: mery liye bhi tum sy shadi Karna BHT mushkil Faisla thaw.... Par Mujhy Nahi pata k main kis hadh tk tumhari expectations pr Pura utar Sakti Hun..... Lekin mery liye yeh rishta ahem hai.... Muqaddas hai.... Aur is rishty ko nibhany k liye.... Main apni Puri koshish karungi....
Samar to himself: yeh agar Bola na kary toh kitni achi lagti hai.... But she's looking so nice.... Ya phr shaeed AJ MakeUp achaw Kiya hua hai.... 😉
Samar: main bhi tum sy aik wadaa karta Hun.... K main bhi tumhari expectations pr bilkul Pura Nahi utrunga... 😍🥰
Yeh BT sun Kar Sahar smile karti hai...
Samar: I'll prove you wrong... Aur yeh Jo tum itni unemotional rehti ho na... Chand Dino main yeh batein bhi Badal dunga tumhary liye.... I promise you... Yeah!
Sahar: achaw? (With a smile 😊😍)
Samar: Hmmmm... Okeeeh?
Sahar apna sar positively hilati hai... Samar Sahar k face k bilkul kareeb thaw... Samar NY zor sy Samar k sath handshake Kiya aur smile karny lag Gaya.... Thodi dair isi tarha pyari pyari batein karta Raha aur fresh hony Chala Gaya....

TO BE CONTINUED

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro