CHAPTER#32

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Samar Side
It's Night Time
Nearly 09:15pm

Samar: Mujhy Sahar k Pas Jana chahiye... Han... Han.... Mujhy Jana chahiye Usk Pas... Wo BHT takleef main thi... Woh Mujhy maff Nahi karygi... Woh to meri is Shakal KO bhi dekhna pasand Nahi karygi....
Samar apny Mooh pr zor zor sy thapad marta hai 2no tarf sy... Aur paaglon ki tarha uth Kar car ki tarf jata hai aur car main Beth KR hospital ki tarf jata hai... Thodi dair bad Samar hospital pohanchta hai aur reception sy Sahar k room Ka puchta hai... Receptionist room number aur direction btati hai... Samar bhagty huye Sahar k room ki tarf jata hai... Toh dekhta hai k wahin room k bahir bench pr Madhu Beth KR ro rahi thi... Samar apni maa k Pas jata hai... Samar ki Halat BHT Ziada kharab thi... Uski awaz bethi hui thi... Uski shirt k 3 buttons khuly huye thy Matti Lagi hui thi Usk kapdon pr... Shirt pr khoon laga hua thaw... Cuff buttons khuly huye thy paun main jooty Nahi thy Usk paun sy khoon beh Raha thaw.... haathon sy khoon beh Raha thaw... Uska chehra laal thaw.... ankhein rony ki wajah sy laal aur soojhi hui thin... Baalon main Matti Lagi hui thi aur bekhry huye thy...
Samar: maa...
Madhu uski tarf Dekhti hai aur Khadi hokar Usk pas jati hai...
Madhu: mar gayi tumhari maa... Mar gayi main tumhary liye Samar (shout loudly 😡🔥)
Samar: please maa.. ap to aisa mt kahein maa (crying very badly 😭💔)
Madhu: kyun na kahun main Hannn... tum toh BHT hi ghattiya insaan nikly Samar... BHT hi ghattiya insaan... Sharam AA rahi Hai Mujhy... Sharam ati haiiii Mujhy.... (crying 😭💔)
Samar apny haathon KO jorh 🙏 leta hai aur Rony Lagta hai...
Samar: maa main toot chuka Hun maa... Mujhy BHT bada dhoka mila hai... Main mar kyun Nahi jata maa... (Crying loudly 😭💔)
Madhu: achaw hai na... Tum ho hi isi qabil.. tumhary sath Hona chahiye... Main toh kahti Hun k tumhary sath toh is sy bhi battar Hona chahiye... (Shout 😡🔥)
Samar: maa main BHT Ziada sharminda Hun... Mujhy Dil sy sharmindagi horahi Hai... Mujhy Maff kardein maa.. 🙏😭💔 Ahhhhhhhh..😭💔
Madhu: maff kardun? Tumhein maff kardun main? (Shout in full anger 😡🔥)
Samar BHT Ziada ro Raha thaw usny apny sar KO apny jurhy 🙏 huye haathon main chupaya hua thaw...
Madhu: mujh sy Kiya Maffi mang Rahy ho Maffi us sy mango Jisk sath tum ziadtiyan karty aa rahy ho.... Sahar ki yeh Halat sirf tumhari wajah sy hui hai... Sahar sy Usk bachy ki Khushi bhi tum ny cheen li Jo wahid usko Mili thi.... (crying 🥹) Arehhh! Tum toh baap Ban'ny k layak hi Nahi ho... Sharam ati hai Mujhy k tum apni hi aulad KO qubool karny sy inkaar Kar Rahy thy...(Shout 😡🔥)
Samar: maa please 🙏 aisa mt kahein Mujhy SB Kuch pata chal Gaya hai... Maa us Anjali NY Mujhy dhoka dy Diya mery hi dost ghaddar nikly maa... Ahhhhhhhh... 😭💔
Madhu: bhad main jao tum... Bhad main jaoooo.... AJ sy tumhara mery sath aur Sahar k sath koi rishta Nahi hai.... Main samjhun gi k tum mar Gaye Hamary liye.... Tumhara Raizaada family k sath koi talooq Nahi hai AJ sy... (Shout  😡🔥)
Samar: maa Sahar kaisi Hai ab (crying 🥹)
Madhu: Woh kaisi Hai ya kaisi Nahi us sy ab tumhein koi MATLAB Nahi Hona chahiye samjhyyyy... Aur apni is gandi zuban sy us pakeeza bachi Ka naam bhi Mt Lena AJ k bad (Shout loudly 😡🔥)
Samar: Mujhy Sahar sy milna hai maa... Please maa Mujhy Sahar KO aik bar Dekhna hai... 😭🙏
Madhu: hargiz Nahi... Tumhara ab Sahar sy koi wasta Nahi hai... Sahar MERI beti Hai...
Samar: maa please 🙏 sirf aik bar main sirf Dekh Kar wapis AA jaunga... 😭🙏
Madhu: dekhna toh dur ki BT Hai main tumhari parchayi bhi Uspr Nahi padny dungi...
Samar paaglon k jaisy Sahar k room ki tarf bhagny Lagta hai... Lekin Madhu usko pakad KR dhakka dy deti Hai aur Samar zameen pr zor sy gir jata hai...
Samar: maa please 🙏 main BHT takleef main Hun mujhy aik bar milny dein sirf usko dekhna Chahta Hun (crying loudly like a child 😭💔)
Samar bechaini k sath bachon ki tarha Rony Lagta hai aur zid karta hai k usy Sahar KO sirf dekhna hai... Samar Madhu k paun pakad KR rota hai lekin Madhu uski aik Nahi sunti aur usko Mooh pr thapad Marti hai...  Lekin Samar phr bhi Nahi sambhalta toh Madhu security KO bulwati hai....
Madhu: Security..... Security..... (Shout loudly)
Samar: maa please 🙏😭 Mujhy Sahar KO sirf dekhny dein Mera Dil phat Jayega maa... Main mar jaunga maa (crying very badly 😭)
Security guards AA Kar Samar KO pakad lety hain...
Madhu: guards is zalil shakhs KO yahan sy ghaseet'ty huye bahir phenk do aur andr any ki ijazat Mt dena.... Agar na maany toh mar mar KR isko yahan sy bahir phenko...
Samar: maa please 🙏 aisa mt karein.... Main mar jaunga maa 😭🙏 (Shouting in Crying 😭)
Guards: Ayeeeeeee! Nikal yahan sy kyun shor macha Raha hai...
Samar guard Ka collar pakad leta hai aur Ghussy main Kahta Hai
Samar: tujhy Kiya masla hai.... Tu nikal yahan sy.... Main apni biwi k Pas Jana Chahta hoon...Tu kon hota Hai Mujhy rokny wala.... (Shouted)
Madhu guards KO ishara karti hai aur guards Samar KO Marty huye aur ghaseet'ty huye bahir ly Kar jaty hain aur Samar cheekhta rehta hai....
Samar: Sahar...... Sahar....... Sahar....... Sahar....... (Shouting loudly)
Guards usko road pr phenk dety hain....
Guards: nikal yahan sy samajh Nahi aa rahi tujhy... BHT hi dheet insaan ho tum.... Sharafat sy nikal jaa warna police bula leingy.... (Shout 😡)
Samar guards KO Marny Lagta hai lekin guards mil Kar usko khoob Marty Hain... Itny main wahan sy Priya guzar rahi thi Woh Samar KO Dekhti hai aur wahan bhag Kar jati hai aur guards KO rokti hai...
Priya: Stop it.... Stop it (shout loudly)
Guards Ruk jaty Hain...
Priya: Kiya horaha hai yahan pr kyun mar rahy Hain isy?
Guard 01: yeh shakhs hospital main tamasha Kar Raha thaw... Isk relatives NY Kaha k isy hospital sy bahir kardein lekin yeh to Ulta ham pr hi haath utha Raha hai...
Priya Samar ki tarf Dekhti hai Samar zameen pr Beth KR ro raha thaw...
Guards 02: ap janti Hain inhein...?
Priya: Han janti Hun yeh dost hai Mera...
Samar Priya ki Taraf dekhta hai toh Heran reh jata hai...
Guards 02: thk hai toh phr ap isko yahan sy lykar jaiye... Warna ham isko arrest Karwa deingy...
Priya Samar KO zameen sy uthati hai aur apni car main beth'ti hai aur apny Ghar ly jati hai....

TO BE CONTINUED

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro