CHAPTER#16

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Next Evening
In a Dark Room

Jis room main Samar thaw us Room Ka darwaza khulta hai aur Madhu room main enter Hoti hai... aur Samar KO dekhti hai Jo aik kony main apny sar KO apni knees main chupa Kar bachon ki tarha betha hua thaw... uski ankhein laal thin Baal bikhry huye thy shirt aur cuff buttons khuly huye thy... Madhu usk Pas ati hai.... aur Samar K baalon KO bhttt be rehmi k sath pakad Kar usko khada karti hai jis tarha Samar NY Sahar k baalon KO pakda thaw... Samar dard ki wajah sy cheekhta hai aur khada hota hai... toh Madhu kahti hai...
Madhu: isi tarha pakda thaw na sahar KO Usk baalon sy Woh bhi isi tarha cheekhi hogi dard ki wajah sy?
Sam: Ahhhh..hhhh..aaaa..(Shout in pain 😖)
Madhu: Isi tarha cheekhi Thi na dard main??? (Shouting in anger 😡🔥)
Sam: h...hhh.. haaannn haaannn (In pain 😖)
Madhu isko zor sy thapad Marti hai jiski wajah sy Woh zameen pr gir Gaya thaw jis tarha Sahar KO Samar NY mara thaw aur Woh zameen pr gir gai thi... Madhu NY BHT be rehmi k sath Samar KO Usk baalon sy pakda aur usko phr sy khada Kiya phr aik belt KO apny haathon pr ghumaya Jis pr oil laga hua thaw aur usko belt sy marny Lagi BHT Ziada mara usko takreeban 2 ghanton tk usko Marti rahi musalsal... aur Samar dard ki wajah sy cheekhta chillata Raha aur ro Raha thaw apni maa sy Maffiyan mang Raha thaw lekin uski maa usko aur bhi zor zor sy belt sy marny Lagi...
Madhu: isi tarha sahar bhi dard main chilla rahi ho gi hai na? (Questioning)
Samar: ........
Madhu: Hai naaaw (Shout in anger 😡🔥)
Samar: h..hhh..haann Hannn maa.. (Fumble in pain 😖)
Madhu: Woh bhi isi tarha apny thapad k liye Maffi mang rahi hogi hai na? (Questioning)
Samar: h..hhh.. Haan maa..
Madhu: Woh bhi isi tarha ro rahi hogi hai na? (Questioning)
Samar: h..hhh.. Han Hannn maa..
Madhu usko aur bhi zor zor belt sy marny lagti hai aur Woh chillata rehta hai aur apny haath jorh KR Maffi mang ta hai....
Madhu: usny Maffi mangi lekin tu NY uski aik Nahi Sunni thi aur na hi usko marna band Kiya... Hai na..? (Questioning)
Samar: Han maa m..mu..mujhsy bh..BHT badi GHALTI hogai maa Mujhy maff kardein..(crying 😭)
Samar k jism sy khoon beh Raha thaw bhttt ziada aur Uski shirt phad gai thi belt ki wajah sy.... Madhu wahan sy chali jati hai aur isi tarha Samar KO 3 din tk Marti hai aur usko na hi khany peeny ki koi cheez bhejwati hai... akhiri din usko marny k bad kahti hai...
Madhu: tumhein Usk Mooh sy Bhai kahna pasand Nahi thaw na? (Questioning)
Samar Kuch Nahi Kahta uski halat BHT kharab thi Woh bs chup thaw aur zameen pr adh mara pada hua thaw...
Madhu: toh phr thk hai.....ab main tumhein batati Hun.... ab tum wahi Karo Gy Jo main kahungi... tumhari wajah sy uska baap mar Gaya tumhari wajah sy Usk kirdaar pr ungliyan uthai gayi.. tumhari wajah sy uska rishta toot Gaya... ab tum usko apni izzat bnaogy...
Samar: aa..aai..aais..aisa k..Ka..Kabhi n..na..Nahi hoga..main..us sy shadi Kabhi Nahi karunga..(Half unconscious)
Madhu: tum sy Puch kon Raha hai? Tumhein bata rahi Hun main... (Shout loudly in full anger 😡🔥)
Madhu usk haathon KO bandh leti hai Samar Ka collar pakad Kar usko car tk ly Kar ati hai... rasi k aik siray KO car k peechy bandh deti hai aur khud car main Beth Kar car drive Kar ti hai aur car ko full speed k sath drive karti hai aur Samar KO ghaseet'ty huye Sahar k Ghar pohanchti hai phr car Ka door kholti hai aur Samar Ki raasi khol KR usko Usk baalon sy pakar KR Sahar k Ghar enter Hoti hai aur Samar KO Sahar k qadmo main phenk deti hai...
Madhu: Sahar beta yeh hai tumhara mujrim tumhara Gunneh-Gar Hain... tumhary Abbu Ka qatil hai... main tumhary Abbu KO wapis toh Nahi laa skti lekin isko main NY apni tarf sy sazaa Dy Di hai ab tum Isko sazaa do... Samar Maffi mango (Shout loudly in full Anger on Samar 😡🔥)
Sahar Samar ki yeh halat Dekh Kar shocked Hoti hai... Samar Pura blood Ka bhara hua thaw... Usk Baal bikhry huye thy usk haath paun kanmp rahy thy Woh BHT buri halat main thaw... Samar apny haath jorh leta hai Usk haath kanmp rahy thy aur Sahar k paun pakar leta hai..
Samar: s..SSS..Sa...sah..Sahar m..Mujhy mm..ma..maff kardo mm..mmaa..main b..bhttt sharminda Hun apny kiye pr..a..aa..AJ JB mujhpr gu..guzri toh Mujhy ahs..ahsaas hua k t..Tu..tumhein Kitna dard hua hoga aahhh..Mujhy maff kardo Mujhy maff kardo..(crying 😭)...
Sahar aik BHT naram Dil ki Malik thi Woh uski yeh halat Dekh Nahi skti thi...usko apny upr guzri hui takleef phr sy Yaad any Lagi aur Usk ABBU Ka chehra nazar Ata hai.... Uski aankhon sy ansu any Lagy Woh ro rahi thi... usk Dil main samar k liye BHT khouf thaw Woh BHT dar rahi thi usny himmat Kark Samar KO shoulders sy pakda..
Samar: Aaahhhhh...hhh.. (In pain 😭🥺)
Sahar NY usko utha KR Chair pr bethaya aur Usk bandhy huye haathon KO khol Diya....
Sahar: Badi Bibi apny Jo bhi Mery liye Kiya wo BHT hai... main inhein koi sazaa Nahi dy skti inki pehly sy hi bhttt buri halat hai... yeh BHT takleef main Hain..
Madhu usko galy laga leti hai... aur zakiya KO apny 2no haath jorh Kar kahti hai...
Madhu: Zakiya main tumhary chokhat pr ayi Hun sawali ban Kar... Mujhy tum sy AJ Kuch chahiye... Kiya tum Mujhy do gi? Please 🙏 inkaar mat Karna....
Madhu Samar ki shadi Sahar sy Karna chahti hai kyunki Sahar ki zindagi Samar ki wajah sy Barbaad hui hai ab wahi isko abad karyga...yeh sun Kar Sahar k paun k neechy sy zameen khisak jati hai aur Woh jhatky sy peechy deewar pr lag jati hai...
Zakiya: lekin badi Bibi aisa Nahi hoskta hai...
Madhu: Nahi zakiya ab aisa hi hoga is zalil insaan K sath aisa hi Hona chahiye... aur Zakiya tum bilkul Sahar ki fikr mat Karo Sahar KO main apni beti sy barh Kar chahti Hun..
Zakiya: Woh toh thk hai ismain koi Shakk Nahi hai par..(Madhu interrupted)
Madhu: par war Kuch Nahi...main Sahar Ka haath apny Samar k liye mang ny ayi Hun Zakiya Mujhy mayus hokar mt loutana Mujhy meri beti dy do Zakiya (crying 😭)
Zakiya: t..th..thk hai badi Bibi...
Madhu Khush hojati hai aur Sahar k pas jati hai Jo bilkul shock hokar deewar k sath khadi thi aur Uski aankhon sy musalsal ansu beh rahy thy Madhu Usk ansu'oon KO saaf karti hai aur usko galy sy lagati hai... aur urgent basis pr shadi Ki arrangements karti hai... Samar KO dusry room main ly jati hai aur Uski dressing karti hai aur usko pain killer deti hai.. ab is room main sirf Ammi aur Sahar thy..
Zakiya Sahar k pas ati hai aur usko pakad Kar bed pr betha deti hai...
Zakiya: beta Mujhy pata hai k tum Kiya soch rahi ho...lekin tum Mujhy bhi samajhny ki koshish Karo beta...halat hi aisy hogaye hain...tum aik ladki ho tumhary kirdaar pr ungliyan uth rahi Hain...aur badi Bibi tumhein izzat k sath apny Ghar ki bahu bnana chahti Hain...Woh tumhein apni betiyon jaisa pyar karti Hain..
Sahar: aur Samar Ka Kiya Ammi? Woh Ghussy ki halat main aik janwar darinda ban jata hai Ammi main Usk sath kaisy rahungi Ammi.. Mera Kiya Ammi meri khushiyon Ka Kiya... Woh mery baap Ka qatil hai... (crying loudly 😭)
Zakiya: Jahan tk Samar ki bat hai Woh waqt k sath sath thk hojayega...Mujhy yaqeen hai beta Woh bhi aik din tum sy muhabbat karny lagyga...beta Meri khatir Han kardo beta..
Sahar: main NY uska Woh roup Dekha hai Ammi... Woh aik WEHSHI hai darinda ban jata hai Ghussy main... Main yeh Nahi Kar skti Hun (crying loudly 😭💔)
Zakiya apny haathon ko jorhti hai toh Sahar Usk haathon KO pakad Kar Usk galy lag jati hai or BHT Ziada roti hai... Zakiya usko zor sy galy lagati hai aur Rony lagti hai thodi dair k bad Woh Sahar KO relax karti hai usko Paani pilati hai... Sahar kanmpty huye haathon sy glass pakadti hai aur Paani peeti hai.. phr Zakiya Usk forehead pr kiss karti hai aur usko fresh hony Ka kahti hai Itny main shadi ki tammam zaroori arrangements hojati Hain... Madhu, Zakiya, Samar aur Sahar shadi ki sari formalities Puri karty Hain... thodi dair main Sahar aur Samar ki shadi complete hojati hai bhttt hi sadgi k sath.... Zakiya Sahar sy milti hai usko galy sy laga KR usko choomny lagti hai Sahar BHT roti hai lekin Madhu ati hai aur Zakiya sy ijazat leti hai aur Zakiya sy mil Kar Sahar ko apny sath car main bethati hai aur Madhu, Sahar aur Samar Ghar AA jaty Hain... Samar Ghar aty hi apny room main Chala jata hai aur couch pr lait jata hai.... Madhu Sahar KO pakad Kar Ghar main enter karti hai... toh agay amber khadi Hoti hai aur Herangi k sath dekhti hai...
Madhu: Sahar yeh amber hai MERI bhatiji aur Samar ki cousin... lekin Behan Bhai sy barh kar manty Hain aik dusry ko... aur meri beti Hai... aur jaisy yeh meri beti Hai waisy hi AJ sy tum bhi meri beti ho....
Sahar khamoshi k sath sirf sun rahi thi koi react Nahi kar rahi thi...
Madhu: yeh tumhara Ghar hai....amber...Bhabi sy Milo..
Amber Heran thi usko Kuch samajh Nahi aa Raha thaw k Kiya Kahy...
Amber: Bhaaab..... Mom..?
Madhu: jao Khana lgwao I'm sure Sahar NY Kuch khaya Nahi hoga...
Amber wahi shocked hokar khadi rehti hai...
Madhu: Ao Sahar AA jao...
Madhu usko Samar k room main ly jany lagti hai..Madhu Samar K room Ka door kholti hai Samar couch pr laita hua thaw Woh jaisy hi maa aur Sahar KO dekhta hai jhatky sy uth KR Beth jata hai aur apni back unki tarf KR leta hai Madhu Sahar KO bed pr betha deti hai..
Madhu: betho beta..
Sahar Beth jati hai aur Sahar couch sy uth KR window ki tarf jaa Kar khada hojata hai..
Madhu: Samar tumhara is sy Shadi/Nikkah hua hai aur AJ sy yeh Hamary Ghar ki izzat hai..agar tum ny is sy koi ziyadti ki ya koi ghalat bat ki toh tumhein Mujhy jawab dena hoga..
Samar apni maa KO Ghussy sy ghurta hai phr Sahar KO Ghussy sy ghurta hai..Madhu Sahar k kandhy pr haath Rakh ti hai aur chali jati hai..Sahar k aankhon sy ansu beh rahy thy..
Samar abhi bhi Sahar KO Ghussy main ghur Raha thaw tab hi Sahar uski tarf Ghussy main dekhti hai..aur kahti hai...
Sahar: Dekh liya tum ny apny kiye Ka nateeja..barbaad krdi meri zindagi...
Samar: main NY tumhari zindagi Barbaad ki hai? Tum ny azaab bnai hai MERI Zindagi...yeh Sara Kiya dhara tumhara hai....aur aik bat tum Yaad rakhna main NY tum sy Maffi maa ki wajah sy mangi thi aur main toh samajh Raha thaw Mera inteqaam Pura hogia lekin Nahi tumhari wajah sy meri maa NY meri yeh halat ki hai na... uska hisaab tumhein Dena hoga..aur aik bat aur Yaad rakhna yeh jitna bhi shadi Ka drama hua hai na yeh sirf maa k liye Mera tum sy koi rishta Nahi hai  (Shout in anger 😡🔥)
Sahar bed sy uth Kar Samar k kareeb jaati hai Ghussy main... aur kahti hai....
Sahar: tum jaisy insaan sy toh Mujhy bhi yeh rishta qabool Nahi hai...
Samar: thk hai maa ki zid pr ayi ho na yahan py to ab unhi k liye yahan pr rehna....
Sahar: waqt NY Mujhy yahan pr laa KR phenka hai na...mery sath ki gai har ziadti Ka silaa ab waqt Mujhy dyga....
Samar: bakwas band Karo (show his palm ✋) yeh Mera kamra hai aur tum yahan Nahi reh skti samjhiii? Just get out (point her finger 🫵 towards door) leaveeee....
Sahar: yeh bat tum apni maa sy jaa Kar Kaho...Jo Mera haath pakad KR Mujhy is kamry main ly KR ayi Hain...
Samar yeh sun Kar room sy bahir Chala jata hai Ghussy main...aur Sahar wahin bed pr jaa Kar Beth jati hai..thodi dair bad SB mil kar dinner karty Hain siwaye Samar k..aur Madhu Sahar KO room main jany KO kahti hai toh Sahar room main aa Kar bed pr Beth Kar Rony lagti hai... lekin Samar Ghar sy bahir jany Lagta hai k tab hi Madhu usko rok leti hai...

TO BE CONTINUED

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro